मिर्ज़ा सौदा


aadam ka jism jab ki anaasir se mil banaa
kuchh aag bach rahii thi so aashiq ka dil banaa

sargarm-e-naala in dinoN main bhii huuN andaleeb
mat aashiyaaN chaman meN mere muttasil banaa

jis tiirgi se roz hai ushshaaq ka siyaah
shaayad usii chehra-e-KhuubaaN pe til binaa

apnaa hunar dikhaa denge ham tujhko sheeshagar
TuuTaa huaa kisii ka agar ham se dil banaa

sun sun ke arz-e-haal meraa yaar ne kahaa
Sauda na baateN baith ke yaaN muttasil banaa

Mirza Sauda